Friday, February 17, 2012

Wo Dil Ko Jeet Lene Mein Kamal Rakhta Hai..............






Wo muhabbat ki kuch aisi misaal rakhta hai,
Ke mujse zyada hi mera khayal rakhta hai...

Bina kahe hi mera har dard jaan leta hai,
Mujse le kar meri yaadein sambhal rakhta hai...

Hans ke taal jata hai meri sab talkh baaton ko,
Woh dil ko jeet lene mein kamaal rakhta hai...
***************************************



Raaz-e-dil kisi ko sunana na Ae Dost,
Dunya mein sab humraz badal jatey hain,

Kisi k bicharne se koi mar nhi jata,
Haan magar jeene k andaz badal jatey hain.
-----------------------------------------------------------------------------------


No comments:

Post a Comment