KASH!
Mera qalam tumhain honsla deta,
Beetay lambhon ko ik walwala deta,
Pathar peray thy aaqlon pe tumhari,
Tanay deti thi tumhain duniya sari
Ho gai thi zindagi tum pe andhiyari
Jeeti hui baazi bhi tum ne haari
tumharay dilon ko naya jazba deta
KASH!
mera qalam tumhain honsla deta
Be-karan lab bhi sil gaye thy
gumrahi mein tumharay dil per gaye thy
Takht bhi tumharay hil gaye thy
Jab tum dushmano se mil gaye thy
Tumhain juratoun ka ik mashqala deta,
KASH!
mera qalam tumhain honsla deta
Nahi kuch bighra k hain minahil aur bohat
samundaron se aage hain saahil aur bohat
Byabano mein bhi hain minazil aur bohat
tay kernay hain tumhain abhi mirahil aur bohat
nai nai duniya bananay ka silsala deta
KASH!
mera qalam tumhain honsla deta
Mera qalam tumhain honsla bhi de ga
Nay lamhon mein walwala bhi de ga
Tumharay dilon mein jazba bhi de ga
Tumhari joratoun ko mashgla bhi de ga
Qadam se qadam mila ker tou dekho
Nai duniya banany ka silsala bhi de ga
o0o0o0o0o0o0o0o0o0o0o0o0o0o0o0o0o0o0o0o0o0o0
No comments:
Post a Comment